padai krne ke tarike and tips in hindi


padai krne ke tarike and tips in hindi

 hello dosto, aaj mai aapko padai krne ke tarike hindi me btane ja rha hu,  ab aap bologe ki padai krne ke bhi tarike hote hai kya?  ji ha dosto padai krne ke bhi tarike hote hai jo aaj mai aapko btane ja rha hu,  dhyan se tarike pdhiye aur padai krke jivan me success paye kyunki aaj ke yug me padai hi sbkuchh hai.

1. dosto koi bhi kary,  padai ho ya kam kisi bhi chij me safalta pane ke liye sbse jaruri bat hardwork aur self confidence hona jruri hai,  aur ha sbse jruri bat yeh hai ki apne god pr bhi bhrosa rkhe. aur khud pr bhi bhrosa hona chahiye.

2. friends sbse jaruri bat yeh hai ki aap kis tarah aur kis disha ke taraf apna muh krke baithte hai,  dosto apna muh hmesha purv ya uttar ki disha me rkhna chahiye isse hme positive energy prapt hoti hai.

3. aap hmesha yeh bat dhyan rkhe ki padai krte samay aise jagah pr bilkul nhi baithna chahiye jha pr bahut shor much rha ho,  shant jagah choose krna chahiye,  aur agar samne khidki ho to use bhi band kr de kyunki vh khidki study me concentration pradan nhi krti.

4. dosto hmesha subah jldi uthkr padai krni chahiye,  kehte hai subah ke time pr padai krne se hamara dhyan lambe samay tk lga rehta hai aur ho ske to aap log der rat tak padai krne ke bajay subah jldi uthkr padai kre.

5. iss bat ka hmesha dhyan rkhna chahiye ki khate pite samay padai n kre, kai bar aisa hota hai ki hm padai krte krte kuchh kha rhe hai ya fir T.V dekh rhe hai, ya mobile use kr rhe hai,  padai krte samay mobile ko apne pas bilkul n rkhe isse aap concentration nhi kr pate hai.

6. dosto padai krne se pehle,  padai krne ka time table jrur bna le. kyonki time table he aapka samay tay krega ki aapko konse subject ko kitna time dena hai,  aur sirf time table bnakr nhi chlega us time table ko follow bhi krna chahiye.

7. hm padai to krte hai lekin kyi bar hmare pdha hua dhyan me nhi rehta iska reason yeh hai ki hm pdhai ya to mn lagakr nhi kr pate ya fir bahut jyada padai kr lete hai,  dosto khelna kudna bhi utna he jruri hai taki hmara mind fresh ho jaye aur hm achhe se pdh paye.

8. aap jb bhi padai krne baithoge to jo kitab me main points hote hai unhe highlight krna n bhule isse yeh hoga ki high light kiya hua words mind ko jldi accept ho jata hai aur aapko isse revision krte samay bhi kafi madad milegi.


   yeh the aaj ke padai krne ke tarike,  agar aap ko aur kuchh janna ho to aap comment ke madhyam se sawal puchh skte hai.

ALSO READ :


Previous
Next Post »
Thanks for your comment